Kis Ravan ki katun baahein,
Kis lanka mein aag lagaon,
Ghar ghar ravan, pag pag lanka,
Itne ram kahan se laon.
Nafraton ka asar dekho,
Janwaron ka batwara ho gaya,
Gaay hindu ho gayee aur bakra musalman ho gaya.
Mandiron mein hindu dekhe,
Masjidon mein musalman,
Sham ko jab maikhane mein dekha,
Tab jaakar dekhe insaan.
Ye ped ye patte ye shakhein bhi pareshan ho jayein,
Agar parinde bhi hindu aur musalman ho jayein.
Sukhe mewe bhi ye dekh kar pareshan ho gaye,
Na jaane kab nariyal hindu aur khajoor musalman ho gaye.
Na masjid ko jaante hain; na shiwalon ko jaante hain,
Jo bhoke pet hote hain; woh sirf niwalon ko jaante hain,
Mera yahi andaaz logon ko khalta hai,
Ki mera chirag hawa ke khilaf kyun jalta hai.
Mein aman pasand hoan; mere shahar mein aman rehne do,
Laal aur hare mein mat baaton,
Meri chhat par tiranga rehne do.
#Satyam_Bruyat